Journal of an Optimistic Contrarian

The name of my blog stems from my worldview which is naturally contrarian. I also think too many people are unnecessarily pessimistic about the world we live in, thus the "optimistic" qualification. On this blog you can expect to find random musings on a wide list of topics and my feeble efforts at poetry. I work in the financial industry, and I can also be dubbed as a contrarian investor. And contrary to popular opinion, I am not a contrarian for the sake of being one (Or at least I hope not).

Name:
Location: Irvine, California, United States

Monday, March 31, 2014

A Week of Inspiration

Couplets


Dil phir se khil jayega ab mujhe aitbaar bhi nahiin
uspar tum ye kehti ho mujhe tumse pyaar hi nahiin

Ranj-o-gham ki duniya se chhutkara dila de mujhe
Meri tammanaon ke qaatil se kaash koi mila de mujhe

Sawarta hai har wo shaksh jo guzarta hai ishq ki dayaar pe
Ya khilta hai pyaar ke fawwar me ya nikharta hai dard ki angaar pe

Na dil ka koi bas chale na aql ka koi zor
Kis shaan se badhta hoon mai apni tabaahi ki or

Khayal me jo jamaal hai lafzon me jitna kashmakash (jamaal - Beauty)
Aah me jitna dard hai samjho mehboob utna dilkash

ajab si ho uljhan jo kabhi sadme lage pyaar ke
kaafir bhi maange dua wo bhi bina aitbaar ke

banta hai khoon-e-jigar se magar bahta hai bankar paani
aansoo tu rang badal apna chhupa leta hai dil ki kahaani

Souroosh-e-sukhan me kani na ho jaaye, teri yaad ko seene se laga rakha hai
josh-e-wafa nahi khudgarzi hai sanam, jo tera khanjar maine sambhal rakha hai


A Rubaai


Aashiqon ka tabaah hona duniya ka qayda
Shayar ka jo dil toote zamaane ka faayda
Baar baar wahi jurm,ishq wo bhi masoom
Saza dard-e-umr ki, na kam hai na zayda

and a Sestain:(translated this one)


shewa-o-rasm gawaara bhi nahiin

aur taqdeer ka tu maara bhi nahiin
paristaan ka door nazaara bhi nahiin
shab-e-gham ka chaara bhi nahiin

kahiin aur basa le nasheman ai aatish

shahr-e-aazeb me ab guzaara bhi nahiin

You wont confirm to its rules
Nor do you lack good fortune
Yet you cant glimpse the Promised Land
And the Night's Sorrow is yet without a cure

Go make your home somewhere else o "Aatish"
You wont survive in this Strange Land