Shikwa (Complaint)
This poem is inspired by Iqbal's Shikwa and Jawaab-e-Shikwa. It is a list of my complaints to God about the inevitable tragedy of inncocent Love and God's explanation to why all is exactly as it should be.
I am apprehensive to translate it for a larger audience, since my limited abilities at translation might ruin it completely.
SHIKWA
Illahi teri kudrat me aisa karishma kyun hota hai,
Jinke chehere phool se ho, dil patthar ka kyun hota hai.
Jawab-e-shikwa
Kudrat hamari mukammal hai, iski hasti naznee(n) hain
Chehera gar phool sa ho to patthar ka dil lazmi hain.
Shikwa
nadaan ko jaha mein aksar shikast ka saamna hota hai
phir jazba-e-muhabbat jazba-e-masoom kyun hota hai.
Jawab-e-shikwa
Sach hai jaam chhalakte hai dast-e-masoom ke paimanon se
soch samajh aashiq ho jae ummeed nahi sayanon se.
Gham-e-ishq dardbhara ik raag purana hota hai
shikast-e-ishq ke baad hi masoom sayana hota hai.
Shikast ho jae phir bhi hausle barkarar rakh,
khudi par bharosa kar khuda par aitbaar rakh.
phir girengi bijliyan kucch aur intezaar kar
lazim hai ab zara sayanon ki tarah pyaar kar.
Shikwa
Khudaya aapki baat to dil ka bahlana lagta hai
sayanon ka ishq to mohabbat ka fasaana lagta hai.
Bigad gayi taqdeer jo wo phir kaha phirti hai
barak gir jae jaha dobara kaha girti hai.
Ashk tham jate hain to dil lahoo rota hai
mukhtasar bhool saze-e-ta-umr kyun hota hain
Jawab-e-shikwa
Gila taqdeer se baja hai shewa-e-chaman se to nahin
dil se masoomiyat chahti hai wafa zahan se to nahin.
Aata tumhe mohabbat ka shaoor akal nigahbaan bhi ho sakti thi
khafa tumse ho gai jo nigah-e-hoor meherbaan bhi ho sakti thi
Shahar-e-husn sarfaroshan ki aazmayish kadi hain
Inaam jannat-e-khwab hai to saza bhi badi hain
hamdard bhi hai hum tere mana kasak bhi tere pyaar mein
magar roothe mehboob ko manana nahi hamare ikhtiyaar mein.
sangdili zeenat-e-husn hai is kadar barham na ho
zakhm-e-dil aisa bhi nahin jiska koi marham na ho
taqdeer ka phirna mumkin hai giraft-e-jazbaat se nikal
barak phir gir sakti hai agar husn ki barsaat me nikal.
Guzarish
malik ki baat sar aankhon par tabedaar karta hain
yakeen to nahi aata magar aitbaar karta hain
Guzarish bas itni roz-e-hashr pe insaaf karna
jinse jaha me mil na sake jannat me milaap karna
2 Comments:
Hume koi shikwa nahi tumse ai zindagi
ishq hona, ishq pana, hokar dafan ho jana,
yehi hai dastoor- e- zamana
Ishq main padna sayanon ke bus ki baat nahi
Is Masoom se poochho dard- e- ishq main kya mazaa hai!
ishq jinko hO jAyE woh
mar jAtE hain shikAyat nahin kartE
Post a Comment
<< Home